Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha
Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha
Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed
Usi Waqt Is Tofaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha
Ruth gya hai mujhko manane waala
Ab koi nahi naaz mera uthaane wala
Per jaane kya sonchta hai
Yeh khula darwaaza
Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala
Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo
log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Mohsin"
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo
Humne kitni koshish ki unhe manane ki,
Na Jaana Kaha se seekh li unhone
Yeh Ada Zidd par utar jaane ki.
Mera Ikraar Tere Inkaar Se Behatar Hoga
Mera Din Bhi Teri Raat Se Behatar Hoga
Yakeen Nahin To Dolee Se Jhankke Dekhna
Mera Janazaa Teri Baaraat Se Behatar Hoga
Mere Honton ke mehaktay hue naghmo par na ja
Mere seenay main kaye aur bhi ghum paltay hain
Mere chehray par dikhaway ka tabassum hai magar
Meri aankhon main udaasi kay diye jalte hain
Rukta bhi nahi, theek se chalta bhi nahi
Yeh dil hai kay tere baad sambhalta hi nahi
Is umar key sehra say teri yaad ka baadal
Talta bhi nahi aur barasta bhi nahi
Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi
baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi
Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo
usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi

0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home